Wednesday, December 22, 2010


kuchh purani si boli hai shayad isme
kuchh suni sunai si bhasha
pyar ka ambaar chhupa hua hai isme
aur phhootti kaliyo ki nayi zindgi ki abhilasha
ae mann,kyu hai udaas
aakhir kyu hai tere antah me nirasha
khul ja,ud ja,behek le thoda
jaan le,maan le,bas yahin hai zindgi ka kinara
uchak ke chhu le apna akaash
akela nahi tu,sari srishti hai tere paaas

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...