Thursday, January 6, 2011

Kal kuchh palo ne mere yaado ke shamiyane me dastak di
Kuchh nam, kuchh meethe, kuch bheene,aur kuch lal rang se lipte hue
Andar bulaya, saraha, pyar se unhe panah di
Unme se kuchh pal ab tak dard se tadap rahe the
Un palo ki aanch ab tak bujhi nahi thi
Ye wahi pal the jinhone kuchh zindgiya jala di thi
Jane kyu kuchh zindgiya bhulayin nahi ja pati
Jane kyu in palo ki lapte unhe nigal nahi jati
Rakh ho chuke ehsaso ki kashish ab tak in palo ki tapish me nazar ati hai
Meri raat na jane kyu in palo ki takiya ban jati hai
Kab hogi wo raat jab andhera savera ban jaega
Kabtak yuhi mera ateet meri yaado k shamiyane ko jalaega
Kuchh kadam to aise bhi chal le meri zindgi
Jiski yaad se zakhmi na ho koi bhi aane wali khushi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...