Band ankho me jo aasman hai
Wo kabhi khuli ankho se dikh jaye
Barish ki boondon me ghulkar
Mere khwab nam kar jaye
Agar kabhi wo manzar mil jaye
Samajh lena, ek umar guzar gayi
Kuchh khwab nahi poore hua karte
Haqeeqat ka peechha karte karte
Lekin kitna bhi adhoora sahi
Mere andar ka aasmaan mera hai
Bhale hi kisi ko uski pehchan nahi
Mujhe pata hai, wo hi mera basera hai
Lagta namumkin ho aaj, lekin shayad kabhi
Taqdeer me raha, to ayega wo din bhi
Agosh me lekar, mera aasman mujhse poochhega
Mera rang bankar, mujh me ghulna chahoge kya
No comments:
Post a Comment