Saturday, December 12, 2009

08.12.09
Ek kadam kabhi tez chalte hain
To har kadam khushnuma sa lagta hai
Agar kuchh kadam kabhi ladkhada se gaye
To sama gumsum sham sa dhal jata hai

Mann ki nazre jo raahe dhoondhti hain
Aksar un raaho pe andhera milta hai
Jo nazre raaho me hi gum ho jaye
Aksar unhi ko mann apna anjaam maan leta hai

Tamannae yu hi bekhud karti rehti hain
Jabki muqammal hona unka hamari kismat me nahi
Jab kabhi dard me zehn se rubaru ho, to yakeen hota hai
Apne mann me mann ki ichhao ka maujood hona apni fitrat me nahi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...