Wednesday, February 18, 2009

zinda hu abhi..


Kisi ranjish ko hawa do ki mai zinda hu abhi
Mujhko ehsas dila do ki mai zinda hu abhi

Samay ke beetne se ghaav bhi bhar jaenge
Koi aur ghaav bana do ki mai zinda hu abhi
Mujhko ehsas dila do ki mai zinda hu abhi

Aur bhi hausla baki hai abhi
Thoda aur dard pila do ki mai zinda hu abhi
Mujhko ehsas dila do ki mai zinda hu abhi

Teri tasveer zehn me abhi bhi hai basi
Thodi aur aag laga do ki mai zinda hu abhi
Mujhko ehsas dila do ki mai zinda hu abhi

Dooriya jitni bhi ayi sab mit gayi
Faasle aur badha do ki mai zinda hu abhi
Mujhko ehsas dila do ki mai zinda hu abhi

Abhi bhi bahot baki hai khud pe yakeen
Meri pehchan mita do ki mai zinda hu abhi
Mujhko ehsas dila do ki mai zinda hu abhi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...