Wednesday, February 11, 2009

Itna kuchh karke bhi to kuchh bhi nahi kiya maine
Bas kuchh adhkachri si zindagi jeeta ja raha hu
Jo chaaha, usko pa nahi paya
Jo paya, usko nibha nahi paya, usme doob nahi paya
Kuchh bhi to nahi hai is band mutthi me aaj
Na kisi ka dard, na gham, na hi kise ke kahe hue alphaaz
Bas kuchh bikhre hue pal pade hain ek thandi si zameen par
Inhi palo pe paav rakh kar badhta ja raha hu nirantar
Kisi ke peechhe nahi hu, par koi aage bhi kaha hai
Dhundh sa bankar chhaya hua hai mera muqaddar
Kaha hu mai, kaha jana hai mujhe
Kuchh samajh nahi aata, konsa afsana banana hai mujhe
Guzarne na do in palo ko ae zindagi
Afsos hoga, hai adhkachri zindagi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...