Thursday, February 5, 2009

AHEM

Itna bhi na badh jana mere ahem
Ki mai khud ko bhi na pehchan pau
Jin ke sahare ke bina na guzarti ho zindagi apni
Unhi ko ek din thokar pahuchau

Itna bhi na badh jana
Ki aakho par siwae andhere ke kuchh mehsoos na ho
Ki dard hota ho jab kisi jigar ke tukde ko
Tab bhi ye dil mayus na ho

Mujhe mat duba dena ahem ke samandar me
Mai nahi chahta paiso ki chamak me khona
Nahi chahiye mujhe makhmali kafan
Mujhe de dena meri banjar dharti ka ek asmani kona

Kis kaam ka hai wo ahem
Jo swabhiman ko ghamand ke age girvi rakh de
Jo aatm-samman ko duniya ki chaka-chaund se kuchal de
Jo jeevan ko bhi be-imani me badal de

Reh lene do mujhe gareeb agar ahem hai ameeri
Beh lene do mujhe,bhale kitni bhi ho sachchai gehri
Kabhi to mai bhi tar jaunga
Kabhi to is andhi daud se ubhar paunga

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...