Wednesday, February 18, 2009

Aise bhi log hote hain
Itne bhole bhale, itne seedhe sadhe
Bewakoof
Ye bhi nahi samajh pate ki kaun sirf dikhawa kar raha hai
aur kaun sachcha
jo chaahe unko apni ungliyo pe nacha le
aur wo, sab jaante hue bhi bante rehte hain
chalte rehte hain apni hi parchaiyo ke peechhe
bante rehte hain kitne logo ka mazaak
aise bhi log hote hain
jinko koi pharak nahi padta
jo apni hi hasi pe khud hi haste hain
kitni bhi baar chot kha le
aise log jo har kisi ko apne se bhi zada kareeb samajh le
aur yakeen ho jane par bhi na mane
ki unka bharosa kisi ne tod diya
is kism ke logo ka koi bharosa nahi hota
aaj wo agar kisi ke dard me doobe hue hain
to kal wo phir usi ke ird gird chakkar kaatte nazar aenge
ek baar se mann kaha bharega
isliye ek hi galti saikdo baar dohraenge
samajhte hain unse bada gyaani aur daani mahatma koi nahi
par yehi log hote hain, jo apni hi baato pe tik nahi paate
apne hi vachano pe mit nahi paate
bas khokhle ghade ki tarah bajte rehte hain
thokar khate rehte hain, phir chalte rehte hain

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...