Wednesday, February 11, 2009


phir awaz ayi thi uski
Wahi masoom si shehed si meethi
Abhi bhi wahi bachpana wahi chulbulapan tapakta hua
Jaise phir jane kitni shaitaniya panapne ja rahi ho
Jaise sham ke waqt me kisi ped pe baithi dher sari chidiya cheh-cheha rahi ho
Wo nakhre, wo adayein, wo jhoot moot ka gussa
Wo mamta bhara uska “dhobi ki ladki” ka kissa
Wo paer patak ke laad karane ka bahana
Wo har shaitani ke baad daato ke neeche zaban dabana
Aur bade hi pyar se muskana
Road ke bachcho ko mac donalds ka burger khilana
Roz mere ghar jaate waqt, mooh bana ke ek flying kiss hawa me udana
Bahot yaad aati hai
Wo mera ek khwab hi to hai
Ek khwab jo maine uske sath dekha tha
Ab wo iska hissa nahi to kya
Ab tak khwab me jiya hu, aage bhi khwab sanjounga
Wo na chahe, phir bhi yaadein to nahi mit sakti na
Mere liye meri yaadein aur mere khwab hi kaaphi hain
Aakhir wo bhi, ek khwab hi to hai..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...