Monday, February 16, 2009

Kaise reh lete honge itne dino tak chup
Ye khamoshi khokhla nahi kar deti hogi zehn ko
Kitni sari baate andar hi andar khati hongi
Purane jane kitni yaado ko, zakhmo ko, quredti hongi
Kya ehsas nahi hota
Shayad dil bhi patthar ban jaata hoga
Zara si thokar se zamana ghoomta dikhne lagta hai
Na jane pal pal marna kaisa hota hoga
Zameeni zaheeni sachchaiyo ka saamna karna
Roz zindagi se kuchh der aur jeene ke liye ladna
Kaisa hota hoga wo har pal
Jisme aatma tak nangi dikhti hogi
Jisme bebasi aur lachari gher leti hogi
Kab tak saath deta hoga ye shareer aur mann bhi
Jawab de deti hogi dhadkan bhi
Khud ki awaz kisi bhi tarah sunayi na deti hogi
Kaisi hogi wo zindagi
Kaisi hogi wo bebasi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...