Thursday, January 28, 2010

Kuchh palo ko phir se samet ke le aye hain
Kuchh khwabo ke ashiane phir se sajaye hain
Ateet ko bhula pana mushkil hai
Par yaado ki potli akho me chhupa kar chura laye hain

Jab raat ke andhere me kabhi akhe khud ko dhoondhengi
Tab un yaado ki roshni me mann apni manzil ko chhoolega
Jab akho ki nami se mann bheeg jaega
Tab neend ka rath mann ko kahi door uda le jaega

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...