jeevan k panne to kabke jalkar raakh ho chuke
kabhi jin chitron par hame naaz hota tha
aaj wo sare din jal kar raat ho chuke
bas do palke hain jo ab bhi aakash me taron ki jhalak ki pyasi hain
shayad koi tara kisi din dharti par bhi gir jae
un bechari palkon ko bhi kahan pata hai ki akhein to kab ki beh chuki
bas ek akhri saans baaki hai
bas ek akhri saans baaki hai
par afsos hai ki ye chand lamho ko sametne ke liye bhi kafi nahi