Thursday, March 10, 2011

dhuan ..



Bas dhuan hai.jalta dhuan.
Meri gunguni palko se pighalta dhuan.
ek udas sham sa dhalta dhuan.
bin soye anginat raate chalta dhuan.
khwabo ke bikhre tukdo par fisalta dhuan.
dard ki chattano se takrakar uchhalta dhuan.
bas dhuan hai.jalta dhuan.
beete lamho ki chita se nikalta dhuan.
mann ke sailabo me gir gir kar sambhalta dhuan.
kuch ansuni cheekhe sunta dhuan.
kuch sookhi boonde bunta dhuan.
mere chand ki parchhai se lipta hua.
ek ek pal tanhai ka ginta hua.
bas dhuan hai..jalta dhuan

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...