Saturday, March 12, 2011

Band hi rehne do akhe..
bhale hi toote khwabo ke tukde kitne bhi chubhte rahe..
Kahi firse kisi parchhai ko dekh kar mann ghabra na jae..
Kahi firse koi nukila patthar uchhal kar chot na pahuncha jae..
Kitne din,kitni raato..se bhagenge..kaha tak jaenge..
Kamsekam akho se sagar chhalkenge to nahi..jab kadam ladkhadaenge..
Band hi rehne do akho ko..kahi koi ummeed ki kiran akho ko lal na kar de..
Kahi kisi ke mann ki aag akho me dhuan na bhar de..
Wakt ke kadmo ki thokare ab aur nahi khani..
Yaado ki dhool me ghisatkar ab nahi zindgi bitani..
Garam akhe naram palko ko jab tak pighla na de..
Kamsekam kuchh pal band akho ke andhere kaid kar le..
Band hi rehne do akhe..
bhale hi toote khwabo ke tukde kitne bhi chubhte rahe..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...