Monday, October 5, 2009

01.10.09

Ek dheemi si roshni me
bheegi palko ke kinare
kuchh beeti yaado ki mehfil jami hai.
Sagar ki ati jati lehro
ki dastan sunte pattharo
ki thandi saaso me aakar
zindagi thami hai.
Kuchh lamhe guzar gae
kuchh baaki hain.
Kuchh ehsaso ne
anubhav ke darazo me
jagah bana li hai.
kuchh darazo me
ab bhi anubhav ki kami hai.
Kuchh aur ranjishe badh jae
phir shayad keh sake
ye banjar bejaan zameen
hamare khwabo ke bikhre tukdo se bani hai.

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...