Wednesday, June 23, 2010

jaane kyu yaado se ab tak mann sharmsar hai
shayad kuchh beete pal ab tak meri tanhai pe udhaar hai
kaun kehta hai hame raat ke andhere se pyaar hai
hame to sirf apni parchhai ke mit jaane ka intezar hai

chori chupke kabhi zindgi ke chalne ki aahat sunte hain
kabhi baithe baithe aasmaan me khwaab bunte hain
aksar kai khayal jaane pehchane se milte hain
par sadiyo se lipte jazbaat phir bhi kabhi nahi pighalte hain

kya aisi bhi raat hogi jisme andhera nahi ho
jisme har pal ek nayi dastaan likhe, aur palko me sawalo ka pehra nahi ho
jiske paymane tay karte waqt bebasi ka basera nahi ho
aur jiske khwaabo ke aine me kisi purani justaju ka chehra nahi ho

No comments:

Post a Comment

फटे पुराने पन्नों से झाँकती ज़िंदगी

जिन उंगलियों को पकड़ कर चलना सीखा जिन कंधों पर बैठ कर दुनिया देखी आज वो उंगलियाँ बूढ़ी हो चलीं हैं और कंधे झुके-झुके से दिखते हैं उन आँखों म...