Saturday, June 12, 2010

some old msgs

aaj chaand bhi apni bebasi pe roya hoga..
shayad uski raat ko kisi andhere ne chhupa liya..
khamoshi ne awaaz me dard piroya hoga..
shayad kisi khwaab ne meri tanhai ko chura liya..

---------------

kuchh yaado ki mithaas aksar apna zayka palko pe chhod jaati hai..
kuchh baate aksar aakho me nami le aati hai..
kuchh barisho aur kuchh haseen nagmo ka fasana tha..
par khwaabo ka kya hai,unko to ekdin jal hi jana tha..
mere astitva ki lehro me jo pal beh ke aa gaye the..
jinka muqaam meri khushi me ghar basana tha..
ek roz unhe sagar ki gehrai me ghul hi jana tha..
khwaabo ka kya hai,unko to ekdin jal hi jana tha..

---------------

No comments:

Post a Comment

फटे पुराने पन्नों से झाँकती ज़िंदगी

जिन उंगलियों को पकड़ कर चलना सीखा जिन कंधों पर बैठ कर दुनिया देखी आज वो उंगलियाँ बूढ़ी हो चलीं हैं और कंधे झुके-झुके से दिखते हैं उन आँखों म...