Saturday, July 2, 2011

Raat

Chupchaap si raat apne chaand ki akho se andhere ko taak rahi hai.shayad uska koi lamha kho gaya hai.mook darshak bane sehme sitare bhi kaapte sannate sun rahe hain.koi apna shayad juda ho gaya hai.akho ki garm boondo se jalta sagar pattharo ko peet kar apna dard baha raha hai.koi guzra mausam khwabo ki narm ret apne aasuo se bhigo gaya hai.kuch sookhe daag liye ye zindgi andhero me apna astitva chhupati phir rahi hai.shayad koi farishta apna dard in saanso me piro gaya hai..khwab tha shayad kisi aur ka..jo un palo ki yaado me apni bebasi dubo gaya hai..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...