Friday, July 22, 2011

ye kaun nahi janta ki chand bas subah tak hi rahega..
phir bhi kyu raat bhar sirf usi ko hi takte rehte hain..
is chand ki band aakho me jaane kitne khwaab chhupe honge..
par phir bhi uski zindgi me bas andhere bhatakte rehte hain..
kyu kabhi mann nahi maanta..
kyu roz usi ke saye me mere dard sisakte hain..
ye kaun nahi janta ki chand bas subah tak hi rahega..
phir bhi kyu raat bhar sirf usi ko hi takte rehte hain..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...