Tuesday, March 16, 2010

ek adhoori si raat me
apni aadhi band aakho se
chand ki halki si roshni me
tumhe apne kitna kareeb paata hu
har roz tumhe paake
phir ghabra jata hu
kahi tum raat k sath
pighal kar meri akho se na beh jao
kahi tum raat me ghul ke
andhera na ban jao
phir usi tarah har roz
subah aakhe khulne par muskurata hu
phir wahi khwab aya tha
kal raat phir se hamne tumhe khwabo me bulaya tha

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...