Friday, March 26, 2010

ek soch ki tasveer banayi
apni palko me rakh ke chhupai
ghul ke khwaabo me wo saamne ayi
ek nayi si zindgi usne dikhai

jab subah hui,aakhe khuli
kuchh kadwi si sachchai mili
zindgi to kisi ki nahi badli
bas subah ne raat ki khamoshi chheenli

raate to roz aati hain
saase in raato me kyu tham si jaati hain
kitni bhi karwat badale,aakhe raat bhar bhari hi rehti hain
bheetar kitna bhi andhera ho,parchhaiya phir bhi khadi hi rehti hain

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...