Thursday, March 18, 2010

jaane kidhar jaana tha
jaane kidhar aa gaye
jinki khwahisho ka muqaam hamara thikana tha
unhi ke khwaabo se ham jaane kaise takra gae
kuchh unhone soch liya tha
kuchh ham ghabra gae
kahi to koi chehra kabhi jaana pehchana tha
aaj kaise unki yaado se ham kasmasaa gaye
jis pal ko sapne me bhi nahi aana tha
kaise us pal me ham chupchaap apni khamoshi suna gae

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...