Saturday, December 6, 2008

Is baar nahi

Us baar nahi

Phir bhi sharmsaar nahi

Kitne vaado ka sarokar nahi

Kitni kasme sakaar nahi

Soch me raftaar nahi

Shaheedo se vyavhaar nahi

Desh ke prati pyar nahi

Phir bhi bhrashto ki haar nahi

Kya sach me ham laachaar nahi

Kya desh ab bhi khuddar nahi

Bas ab seh sakte ham baar baar nahi

Ab to jag jao, mat kaho ki desh ko darkaar nahi

Lahoo bahane ko karo inkaar nahi

Aapas me karo taqraar nahi

Ban chalo ek, keh do ab bas

Sehen aur bhrashtachaar nahi

Hamari ekta, hamari shanti

Bas ab aur koi vichaar nahi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...