Wednesday, December 24, 2008

main bhool jau tumhen
ab yahi munasib hai
main bhool jau tumhen
ab yahi munasib hai
magar bhulana bhi chahu to kis tarah bhoolu
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwab nahin
yaha to dil ka ye alam hai kya kaho
bhula saka na ye vo silsila
jo tha bhi nahi
wo ek khayal jo awaz tak gaya hi nahi
wo ek baat jo main keh nahi saka tumse
wo ek rabt jo ham mein kabhi raha hi nahi
mujhe hai yaad wo sab jo kabhi hua hi nahi
agar ye haal hai dil ka to koi samjhaye
tumhe bhulana bhi chahu to kis tarah bhoolu
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...