Ab aur nahi, ab saha nahi jata
Aankho ko ab andhera chubhne laga hai
Neend aati bhi hai, to andhere me hi gum ho ke
Adhoori kahaniyo ka silsila ab kaate chunne laga hai
Jeevan samay me sama gaya hai
Chir-sthayi paristhitiyo ka jaise samanvay aa gaya hai
Chalte chalte ab thakaan lagne lagi hai
Zindagi kisi nomaish ki dukaan lagne lagi hai
Kisi ko kuchh khareedne ke layak se nahi lage ham
Kisi ko sirf dekh ke, tatol ke mann behlana hai
Koi mere khwaab khareedne aata hai
Koi sabit kar jata hai ki mera mann – toote sapno ka kaarkhana hai
Nahi chahiye zindagi se kuchh mujhe
Bas meri zindagi mujhe wapas de do
Wahi purane khilaune, purane sapne
Wo purane rishte mujhe wapas de do
Nahi chahiye mujhe nayi ummeede
Bas wahi mere purane lamhe mujhe wapas de do..
just taking life as it unfolds, finding answers to truths untold, striving hard to talk to my heart and soul, and trying to figure out - this mystic society and my inhumane role
Friday, July 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya
Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...
-
time n again the same wounds resurface some sounds which had clung on to my ears when i was there some moments which i forgot by the roadsid...
-
just when i found myself free you bounded me in chains mysteriously when i tried to run out you carved me on the wall to shout what is it th...
-
Bas dhuan hai.jalta dhuan. Meri gunguni palko se pighalta dhuan. ek udas sham sa dhalta dhuan. bin soye anginat raate chalta dhuan. khwabo k...
No comments:
Post a Comment