Wednesday, July 15, 2009

05.07.09

Aur kitne sawal karoge
Kabhi to ant hoga
Kabhi to intezar ki bhi seema khatam hogi
Kabhi to mann jeevant hoga
Saagar ki gehraiya kabhi to satah se takraengi
Kabhi to khushi ki talaash ka chir-anand se milan hoga
Aakhir kab tak mook baithe lehro me gote khaenge
Kabhi to sannata dhamake ki tarah phatega
Kabhi to anant andhera bujhega
Aur kabhi to ye sapna toot kar in ehsaso ke astitva ko sapne me mita dega
Kabhi to rooh hawa me ghul jaegi
Aur kabhi to in sab se upar apna basera hoga

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...