Tuesday, July 28, 2009

26.07.09

Bin banaye bhi kitne rishte ban jate hain
Bin kahe, bin samjhe ham unhe nibhate jate hain
Jab ehsas hota hai, to mann utfullta se bhar jata hai
Jaise koi talaab sagar se mil gaya ho
In rishto ki pehchan apeksha-rahit hona hi to hai
Par in rishto ko pehchanna asaan nahi
Aur pehchan ke, usi tarah bin pehchane rehna mumkin nahi
Yehi par hota hai badlaav
Aur yehi par badh jata hai abhaav
Hame mehsoos nahi hota aur ham beh jate hain bahaav me
Aur kho jati hai wo pavitrata, wo sadgi
Jo us rishte me thi, jise hamne pehchana nahi tha
To lo.. aaj mai har rishte ko bhulata hu
Jisko maine kabhi pehchana tha

No comments:

Post a Comment

फटे पुराने पन्नों से झाँकती ज़िंदगी

जिन उंगलियों को पकड़ कर चलना सीखा जिन कंधों पर बैठ कर दुनिया देखी आज वो उंगलियाँ बूढ़ी हो चलीं हैं और कंधे झुके-झुके से दिखते हैं उन आँखों म...