Tuesday, November 18, 2008

sambhal kar chal ae dil..
is raah pe kayi pathar milenge..
kuchh kaanto ke daldal milenge..
jisme doob ke jana hoga..
kuchh kaanto ke dil milenge..
jinko dil se lagana hoga..
chubhe to chillana mat..
agar chillaya to log sun lenge..
aur ye log apne janmo ke kasayi hain..
tumhe phansi chadha denge..
par tu darna mat..
zindagi me kuchh tajurbe aise bhi hain..
jo un sab dard se aur bhi zada sukhdayi honge..
aise sukh..jo ki ishwar ne bheje hain..
bas..tum chalte rehna..muskurate rehna..
zindagi yuhi beet jaegi..
aur jab zindagi ke ant me ishwar milenge..
to unse apne sukh ke liye shukriya karna..
aur dukh ke liye kaamna..
jisse ki tumhare dukh..un dukho ko kam kar de..
jo tumhare jaise kayi aur dilo ko milenge..
ae dil, tum akele nahi ho..
mai hu saath..
tumhare su-hrid ne tumhe chhod diya to kya..
tumhare Ishwar tumhe kayi aur dilo me milenge..
dhoondh lo un dilo ko..
aur bas..apne sneh se..har lo..jeet lo Ishwar ko..
mai hu saath..
bas tumhare liye..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...