mai khush hu..par kya tum khush ho..
jaanta hu..ek din aega..jab ye sab bahot yaad aega..
par us din..ham ham nahi honge..hamare gam..ye gam nahi honge..
wo sapna..jise hamne janm diya tha sapno me..wo mar chuka hoga..
koi aur hame ham hi se alag kar ke..
apna chuka hoga..hamari jagah le chuka hoga..
wo din bhi aega..jab hame hamari taaqat ke na hone ka ehsas hoga..
jab hame apni zindagi, kisi aur ke raaste me khone ka ehsas hoga..
raaste to phir bhi jaane pehchane se lagenge..
par manzile kahi peechhe chhoot chuki hongi..
aur yu hi ham bina kisi manzil ke..raasta banate chale jaenge..
kabhi khud ko samjhaenge..kabhi in sari yaado ko juthlaenge..
ab to shayad wo waqt bhi nikal gaya..jab ham wapas mud sakte..
ab shayad ham phir se..kabhi nahi jud sakte..
mann me kaduahat aur zehen me baukhlahat si hai..
bhale hi buniyad toot gayi ho..par chaahat abhi bhi dabi si hai..
abhi bhi gam ki raat me subah ka intezar hai..
par parde ke peechhe subah bhi to sharmsaar hai..
dard hai..par dukhta nahi hai ab..
bhala bejan rooh ka..badan se kya matlab..
ye sach hai ki tumse zindagi khushrang thi..
tumhari khushiya mere jeene ki umang thi..
ab ye umang amar ho gayi hai..
meri prarthnao me..meri kaamnao me sirf tumhari khushi hai..
kabhi to tum yaad karogi na mujhe..
wo yaadein hi bas apne naam kar lunga..
tumhe haar ke..tumhari khushiyo ko jeet lunga..
kar lo chaahe jitna bhi badnam tum..
tumhara naam phir bhi apne naam se jod ke rakhunga..
mujhe gam nahi tumhare saath na hone ka..
tumhari yaadein hain mere saath hamesha..
kabhi ehsas ho..to bas ek baar mann se baat kar lena..
akele me apne andar base hue un sare palo ka ehsas kar lena..
yaad hi sahi..kuchh to tumhe batakar tumhe de paya hu mai..
kaha himmat padi kabhi ki tumhe bata pau..tum se kya paya hu mai..
wapas aana kabhi..to kuchh aur baate karenge..
jo kasar poori nahi kar pae samajhne me..wo bhi poori kar lenge..
dost bankar hi sahi..thoda aur jee lenge..thoda aur mar lenge..
intezar rahega us din ka..par tab tak ye aasu bhi khushi se pee lenge..
ham kisi tarah jee lenge..ham kisi tarah jee lenge..
just taking life as it unfolds, finding answers to truths untold, striving hard to talk to my heart and soul, and trying to figure out - this mystic society and my inhumane role
Sunday, November 30, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya
Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...
-
time n again the same wounds resurface some sounds which had clung on to my ears when i was there some moments which i forgot by the roadsid...
-
just when i found myself free you bounded me in chains mysteriously when i tried to run out you carved me on the wall to shout what is it th...
-
Bas dhuan hai.jalta dhuan. Meri gunguni palko se pighalta dhuan. ek udas sham sa dhalta dhuan. bin soye anginat raate chalta dhuan. khwabo k...
No comments:
Post a Comment