Friday, November 7, 2008

dard hai,
aasu hain,
ehsas hai,
tanhayi hai.

ek bhara hua dil hai,
ek soona mann hai,
ek bejaan dimag hai,
sookha adhmara badan hai.

kabhi wapas jud jaane ka vishwas,
kabhi ek anant khamoshi ka ehsas,
mann me kabhi na thamne wali halchal,
zehen me sab kuchh kho dene ka abhaas.

khamoshi bhi cheekhti hai,
mann ki cheekhe sunayi nahi deti,
dil ki dhadkan tadap me badal gayi hai,
saanse kotuhal sa machati rehti hain.

jo dil chahta hai, wo dimag manta nahi,
khud se khud hi alag ho gaya hu,
apni khushi ke liye, apno ki khushi qurban karu,
aisa mai nahi.

chalta ja raha hu,
bas chalte jana hai,
jaha Ishwar le jaye,
ab wahi bas mera thikana hai..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...