Sunday, March 1, 2009

Ek samay tha, jab hawae kitni achhi lagti thi
Jab pedo ki har ek tehni yu hi hawao me behti rehti thi
Jab behti hui hawao me pattiya kitni khil jati thi
Phool muskurate the, bhavre natya dikhate the
Aur hawa kitna ithlati thi

Har ek pal, uski yaad behti chali aati thi
Har doosre pal kuchh batane ki ichha jag jati thi
Mann soch soch ke thahake bharta tha
Kabhi shaitaniya, to kabhi meethi meethi bate karne ka dil karta tha
Aur meri sari soch hawa me ghul jati thi

Kitne sapne inhi hawao me gulatiya khaya karte the
Patango ki tarah umange bhi shikhar par pahuch jati thi
Do parinde kahi paas me sath baithe aksar dikhte the
Kitne muskurate chehre aksar milte the
Hawae bhi hamari zaheeni khushi bikherti thi

Hawae ab bhi hain, Ham ab bhi hain
Par ab hamara rukh hawa ki taraf nahi
Aur hawao ka ehsas ab hame pata nahi
Hamara astitva khud hi hawa ban chuka hai ab
Jo tha kabhi, ab hai jaise wo tha hi nahi

No comments:

Post a Comment

फटे पुराने पन्नों से झाँकती ज़िंदगी

जिन उंगलियों को पकड़ कर चलना सीखा जिन कंधों पर बैठ कर दुनिया देखी आज वो उंगलियाँ बूढ़ी हो चलीं हैं और कंधे झुके-झुके से दिखते हैं उन आँखों म...