Sunday, March 1, 2009

Kisi ko paiso ki talash hai
Kisi ko rishto ki talash hai
Koi khushiyo ki talash me hai
To kisi ko sapno ki talash hai
Par aaj ki duniya me na kisi ko khud ki talash hai
Na hi apno ki talash hai
Har kisi ke mann me ghrana hai
Har kisi se tulna hai
Ghamand hai, nasha hai
Asthir, ashant dasha hai
Koi mahatma hai
To koi sarvshreshtha buddhimaan
Koi azam bana phir raha hai
To koi vishwa vikhyat keertimaan
Har koi prasiddhi ka kayal hai
Prem bhaav, sansarik manyatao se ghayal hai
Shri Krishna aur Mohammed sahib ki ibaadat
Mahetvaheen hokar ban gayi hai nafrat
Bhagwan Isa Maseeh ki sahejta, ekroopta
Ko ab log samajhte hain hukumat
Har ghar me chhida hua hai andolan
Har mod pe hai ek nayi jehad
Kaun manta hai wafadari ko ab
Hai pak mohabbat ab kisko yaad
Kabhi aise bhi dil hote the
Jo zara si baat par mit jane ko hote the tayyar
Jo zaban par jaan chhidakne ka rakhte the jigar
Jo chhote se jhoot se bhi hote the sharmsaar
Jo kabhi vada nibhaya karte the umrabhar
Ab kisko parwah hoti hai zaban ki
Kisko phursat hoti hai sochne ki jahaan ki
Har cheez ka matlab hi badal gaya hai
Sarvjanik shoshan ka chalan chal gaya hai
Phir bhi, kuchh to hoga hi ki ham ab bhi jee rahe hain
Na kisi ki talash hai, na kisi se koi shikayat
Na kisi baat ka ghamand, na koi bhi aur chaahat
Jiye ja rahe hain bas…
Jeeta rahenge kuchh din aur..

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...