Sunday, March 1, 2009

Zindagi se koi shikayat nahi hai tumhare bina bhi
Pehle bhi kahan rukta tha samay tumhare hone ke ehsas se
Ab bhi nahi rukta tumhare na hone ke gham me
Jo shuru hui hai to khatam bhi hogi zindagi
Kuchh lamhe sath bita liye, ab thoda jee le tumhare bina bhi
Log bahot kuchh kehte rahenge
Hazaro lakho sapne aakho se behte rahenge
Sapno ka kya hai, sapne hi to hain
Kabhi ham, to kabhi wo hamse roothte rahenge
Jo na keh sake, shayad wo jayaz nahi tha kehna bhi
Jo tum na samjhe, shayad na ho wo bhi sahi
Ham phir bhi tumhare liye nazre bichhaye rakhenge
Kya pata ho aise jeena mushkil tumhare liye bhi

No comments:

Post a Comment

My composition - Gustakhiyan, mannmarziyan, khudgarziya

  Chalo aankho se hi aankho ke beech baatein kiye jayein In lafzon ki in ankhon ko zarurat kya hai.. Tumhe ankho se bayaan kar de dil ke jaz...